Ojhal Sahi Nigah Say Dooba Nahein Hoon Mein
Ay RaAat HoShiyaAar Rehna Kay Hara Nahein Hoon Mein
Darpesh Subha-o-Shaam Yahi Kash-Makash He Ab
Us Ka Banoon Mein Kaisey Kay Apna Nahein Hoon Mein
Mujh Ko Farishta Honay Ka Daava Nahein MaGar
Jitna Bura Samjhtay Ho Utna Nahein Hoon Mein
Is Tarha Phair Phair Kay Baatain Na Keejjiye
Lehjey Ka Rukh Samjhta Hoon Bacha Nahein Hoon Mein
Mumkin Nahein Hai Mujh Se Yeh Tarz-e-Munaafqat
Dunya Tere MizaAaj Ka Banda Nahein Hoon Mein..??
