Aik Muddat Say Yeh DiL Tujh Ko Sada Daitaa Hai
Kitnaa Naadaan Hai Yeh Khud Ko Saza Daitaa Hai
Hum To Har ShaAm JaLaatay Hein Umeedoon Kay CharaaGh
Jaanay Phir Kon Usay Aa Kay Bujhaa Daita Hai
TumhaAri Yaad Ka Yeh Bhi Ajab TamAaSha Hai
WaQat Be-WaQat Mujhay Tujh Say MiLa Daitaa Hai
Main Reet-e-Aarzoo Pay Roz KhuwAab Likhta Hoon
Vo Ban Kay Moj Har Ik KhuwAab Mita Daitaa Hai
Main Bad-Naseeb Koi Raah Ka Pathar To Nahain
Kay Jo Bhi Guzray Vo Thokar LaGa DaitaaHai..??
